Hotel ya Restaurant job kaise paaye?

“Tumhare haathon mai toh jaadu hai, aisa lag raha hai ki restaurant ka khana kha raha hu”

Agar aapne bhi kabhi aisa kuch suna hai, toh samay aa gya hai apne talent ko career mai badalne ka. Hotels aur restaurant job chahiye toh inn naukriyon ke baare mai padhe:

  1. Cook / Chef : Swadisht khana banana aur parosna.

Daily tasks and skills: 

  • Menu ke anusaar khana banana
  • Khaane ki samagri ki quality check karna
  • Khaane ko akarshak tareeke se plate mai rakhna
  • Kitchen aur khaane ko saaf suthra rakhna
  • Tezi se khaana banana taaki customer ko unka order samay par pohoch paaye
  1. Waiter : Ek customer aur chef ko jodne wala vyakti.

Daily tasks and skills:

  • Customer ka swagat karke unhe table tak pohochana
  • Customers ko paani aur menu serve karna
  • Customer se khaane ka order lena aur chef tak pohochana
  • Tables par dhyaan rakhna aur jaise koi grahak aapko bulaye, unki seva mai pohoch jana
  1. Helper : Restaurant job jisme aap anya kaarya kare

Daily tasks and skills:

  • Khaane ki samagriyon ko tayiyaar karna jaise ki sabzi cheelna aur kaatna
  • Khaana banane mai cook ki sahayata karna
  • Bartan dhona aur restaurant ki safai karna
  • Tables se jhoote bartan waapis lekar jana aur table ko agle customers ke liye saaf karna
  • Delivery ke liye khaane ko pack karna
  1. Delivery boy : Khaane ko ghar tak pohochane wala

Daily tasks and skills:

  • Pack kare huye khaane ko lena
  • Niyamit address par khaane ko jald se jald pohochana
  • Iske liye aapko bike ya scooter achhe se chalana aana chahiye aur ek drivers license zaroor hona chahiye

Paiye yeh jobs MyJobee par

Agar aapko lagta hai ki aapne paas yeh skills hai aur aap aisi hi kisi hotel ya restaurant job paana chahte hai toh MyJobee app download kare aur apne shetra ki jobs par apply kare. 

MyJobee par aapko milegi 100% verified aur active naukriyaan jinpe aap aasaani se kuch hi clicks mai apne mobile se apply kar sakte hai.

Leave a Reply

  • Sign up for Newsletter
    Sign Up