Agar cab driver ki naukri chahiye toh ye jarur padhe
Beet gaye woh din jab drivers poore poore din mehnat karne ke baad bhi jaise taise apni kamai karte the
Pahle unhe logon ko gaadi se chalne ke liye bulana padta tha price ke liye mol-bhav karna padta tha lekin ab khud customers chal k aate hain unke pass ki bhaiya le chalo. Ab options cab drivers ke pass zyada hain. Ab apni sharton par naukri karein apne hisaab se karein.
Hame pata hai, aap cab driver ki job karna chahte hain, magar aap ko pata nahi hai, ki iski shuruat kaise hogi haina?
Agar main kahu ki aapko achi gadi chalani aati hai to naukri apko yun jhatke me mil sakti hai.
Magar dhyan rahe gadi chalana aur ek accha driver hona dono hi alag baat hai.
Isko halke me mat lijiyega!
Driving karna ek kala hai jahan mind aur body dono ka balance hona bahut jaruri hai nahi toh apne woh kahawat to suni hi hogi “ nazar hati, durghatna ghati”.
Kyu hai na?
Aapko job ke liye apply karane se lekar job ki taiyari karane tak myjobee apki madad karega.
Toh kya aap taiyaar hain ? Sawaal toh yahi hai Bass khud par bharosa rakhiye aur cab driver ki interview ki taiyari me jut jaiye.
Myjobee hai na aapke safar ka sathi.
Toh chaliye dekhte hain kuch important interview tips jinki sahayta se aap cab driver ki job paa sakte hain.
Jab aap kisi interview ke liye jaate hain toh jo sabse pehla sawaal hota hai woh yahi hota hai ki aapke pass driving license hai ya nahi kyuki bina license ke gadi chalana apradh hai. Koi bhi bhartiya nagrik bina license ke sadak par gaadi nahi chala sakta aur agar aisa karte hue koi pakda jata hai to use fine bharna padta hai or jail bhi ho sakti hai. Toh dhyaan rahe, sabse pahle jaa ke apna license banwaye uske bad hi kisi interview me jayein.
Khud ki safety ka to khyaal rakhna hi hai sath hi dusron ki safety ke bare me bhi sochna hai.
Aap Se sawal kiye jaa sakte hain ki aap road par gadi safely kaise chlaenge? Kya aapko safety rules ki jankari hai? Kya aap gaadi chalate samay helmet lagate hain?
Kya aap traffic symbols jaise ki no standing ya parking, hospital, zebra crossing, aur signals jaise ki speed limit, traffic lights pehchante hain? Kab rukna hai? kab chalna hai? Iska gyan hona aapko bahut jaruri hai.
Yaad rahe “sadak suraksha niyamon ko aapnayein, khudko aur dusron ko durghatna se bachayein. Aap traffic rules ke baare me kya jaante hain?
Agar nahi jaante to jaan lijiye kyon ki ye toh ek driver ko acche se pata hona chahiye.
Kuch important safety rules jaise ki :
- Apne nirdharit lane me hi gadi chalayein.
- Dusri gaadiyon ko Overtake na kare.
- Gaadi ki speed par khas dhyaan rakhein.
- Bahut jaruri hone par hi horn bajaye, bina matlab ke horn bajate rehne se dusre logon ko kaafi pareshani hoti hai.
- Seat belt helmet ka use jarur kare agar nahi kiya to pata hai na kya hoga?.
Kya aapko mobile operate karne aata hai?
Ab kyuki cab driving ke liye aap jahan khud ko register kroge ke liye jaise ki Ola, Uber, Taxi for sure jaise apps me, to aapko un apps ko chalane ki puri jankari honi chahiye, kaise customer cab book karta hai, kaise aap booking lete ho, kaise fare distribution hota hai, aapko sab handle karna aana chahiye aur agar aapko mobile ki abcd bhi nahi pata toh aapko seekhna padega ki kaise chalate hain mobile.
Chinta na kare mobile sikhna bahut easy hai bass practice chahiye.
Google maps navigate karna. Agar aapko ye nahi aata hai to aap ise aasani se sikh sakte hain.
Youtube par jayein or search karein “Google maps kaise chalayein?” or aapko usse related kai videos milenge. Aapko jo video samajh aaye aur saral lage usse sikhein.
Aap apni communication skills par kaam kar sakte hain kyon ki ek driver ko kai tarah ke customers ko handle karna padta hai to isliye unka polite hona zaruri hai. Agar aap choti-choti baat par chidh jaate hain, ya aapko bahut gussa aata hai to is par kaam karein kyon ki aapko nahi pata drive karte samay aapke saamne kya situation aaegi to islye apka shant mann se kaam lena important hai.
Aap se pucha ja sakta hai ki aapke aankho ke vision me koi dikkat toh nahi hai kyuki aankhein sahi hongi tabhi to aap sahi aur safe driving kar sakoge. Agar aapki aankhon mein koi shikayat hai to turant doctor se test karwaye or vision test karwaye.
Aap kisi area se ya route se kitne familiar hain?
Aap jis area me gaadi drive kar rahe ho us area ki puri jankari apke pas honi chahiye. GPS technology aa gayi hai jisse ki raaston ko yaad nahi karna padta ab magar phir bhi area ki basic samajh ho to ye ek advantage hai aapke liye.
Cab driver ki naukri kai mayno me bahut acchi job hai. Yeh aapko flexibility deti hai aur apni life ko aachi tarah se manage kar paate hain. Aap cab driver ki job full time ya part time basis par kar sakte hain.
Ab apni life jiyein swabhimaan aur samman ke sath.
Hame aasha hai aapko yah article padh kar madad mili hogi.
dhanyawad !